Murgi ki Botiyaan (bagiar haddi) adha kg
• Pisi hoi safiad Mirch 1 khanay ka chamcha
• Corn Flour (pani main ghula hoa) 4 chamchay
• Murgi ki yakhni 1 piyaali
• Lehsan chop ki hoi 1 khanay ka chamcha
• Soya Sauce 1 khanay ka chamcha
• Tomato Ketchup Adhi piyali
• Chili Sauce 2 khanay k chamchay
• Safaid Zeezra 2 khanay k chamchay
• Chini 1 khanay ka chamcha
• Namak 1 chahye ka chamcha
• Oil ¼ piyali + 1 khanay ka chamcha + Talny k liye
• Hari Piyaz k pattay Sajanay k liye (bareek katy hoye)

Murgi ki botiyon per safiad mirch, anday ki safaidi, adha corn folur, ek khanay ka chamcha oil aur namak laga kar adhay ghanty k liye rakh dain. Karhai main tail garam karain aur murgi ki botiyaan sunehri tal kar nikal lain. Sauce Pan main ¼ piyali garam kar k lehsan talain. Is main sirka , cheeni, soya sauce, ketchup, chili sauce, murgi aur yakhni shamil kar k josh anay tak pakain. Is main chamcha chalaty hoye ahista ahista baqi corn flour shamil kar dain aur garha honay per dish main nikal lain. Mazedar Manchurian hari piyaz sy saja kar paish karain.