Beef ya mutton main agar apne shorbe wali handi banani ho. Aur us main sabzi daalni ho toh ye basic masala aur method hai. Jo ziada tar shorbe wali handi banane main kaam aata hai.
Is shorbe main ap. Aaloo bhindi arvi tinda loki shaljam daal daal kar paka sakte hain. Iski tarkeeb kuch youn hai.

Mutton/Beef
Half Kg

Garlic
1 piece chila hua

Ginger
1/2 inch piece

Onion
1 medium

Tomato
1 Big or Two Small

Red chili Powder
2 tea sp

Haldi Powder
1 tea sp flat

Dhanya Powder
1 tea sp full

Salt
To taste

Cooking oil
3/4 cup or as per your requirment

Sab se pehle one kg boil water main mutton ya beef daal kar gosht ko halka sa ubaal de kar saaf kar lain. Phir saaf pani e dho lain. Iske baad gosht main tamaam masale daal kar aur galaane ke liye pani daal kar gosht ko galne ke liye choolhe par chor dain.

Jab gosht khoob ache se gall jaye toh is ka extra pani khushk kar ke is main cooking oil daalain aur gosht ko ache se bhoon lain.

Beef ya mutton shorbe wali handi banaane ke liye taiyaar hai. Ab is main apko jo bhi sabzi daalni ho daal kar pehle bhoon lain phir pani add kar ke shorba bana lain aur sabzi ko galne dain.

Issi tarha ap is main chana daal. Mash daal. Malka daal bhi daal kar daal gosht bana sakte hain. Daal gosht ke liye apko is main end main green chili aur garam masala powder daal kar garnish karna hoga.