Ingredients


Beef
3 Kg One Piece
Salt
3 Tea Spoon Full
Lemon Juice
Half Cup
Garam Masala Powder
2 Tea Spoon
Sirka / Vineger
Half Cup
Qalmi Shora (Available At Hikmat Shops Only)
2 Tea Spoon
Shakkar
2 Table Spoon
Grape Fruit / Chakotra (If Available Then Good)
1






Method
Beef Ko Achi Tarha Dho Lain, And Aik Ghanta Rakh Dain Is Tarha Ke Sara Paani Nikal Ke Beh Jaye. Phir Is Ko Baareek Churi..Ya Folk Se Punch Karna Shroo Karain..Tamam Parts Ko Dono Sides Se Achi Tarha Punch Karain. So That Is Piece Ke Andar Tamaam Masaala Araam Se Chale Jayain..Gosht Merinate Ho Sake.
Iske Baad Is Main Salt, Lemon Juice, Sirka, Qalmi Shora, And Garam Masaala One Bye One Laga Ke Baar Baar Achi Tarha Punch Karain..So That Tamaam Cheezain One By One Gosht Main Daakhil Ho Jayain.

Is Ko 4 Hrs Ke Liye Kitchen Hi Main Normal Temperature Main Rahe Rehne Dain. Is Ke Baad Is Main Shakkar Apply Karain Aur Dobara Se Punch Karain..Aur Chakotra Ka Juice Laga Kar Phir Punch Karain.Ab Isko 24 Hrs Ke Liye Fridge Main Rakh Chorain. Ke Tamaam Masaala Aur Beef Ache Se Merinate Ho Jayain.

Ab Yaa Toh Is Ko Tandoor Main Bhijwaa Ke Bake Karwaa Lain .Ya Kisi Bakry Main..Yaa Phir Kisi Bhi Bare Bartan Main Daal Kar..Bartan Ka Dhakkan Ache Se Band Kar Ke Air Tight Kar Dain..Air Tight Karne Ke Liye Goondha Hua Aataa Dhakan Ke Tamaam Atraaf Laga Dain. Aur Isko Choolhe Par Pakne Ke Liye Rakh Dain..Ubaal Aane Ke Baad Aanch Halki Kar Ke Choolhe Pe Tawa Rakh Kar Degcha Tawe Pe Rakh Dain..Aur Taqreeban 8 Ghante Tak Dam Par Pakne Dain. Yaad Rahe..Ke Pakne Ke Liye Is Main Paani Daalne Ki Zaroorat Nahi Hai..Kion Ke Is Gosht Main Lemon Juice Aur Sirka Hi Kaafi Hai.
8 Hrs Pakne Ke Baad..Kisi Churi Se Cut Laga Ke Taste Karain..Agar Gosht Khastaa Ho Gaya Hai.Aur Gall Gaya Hai. To Is Ka Paani Khushk Kar Lain Tez Aanch Kar Ke..Aur Phir Isko Pieces Kaat Kar Serve Karain . Isko Aap Save Bhi Kar Sakte Hain Fridge Main. Aur Oven Main Garam Kar Ke Baad Main Araam Se Khaa Sakte Hain. Maximum 15 Days Save Kar Sakte Hain Aap Is Ko.