Ingredients
Chicken Boneless
1 Kg
Butter
500 Gms
Cream
1 Cup
Yougurt
1 Cup
Onion Cut In Big Sizez
2 Normal Size
Garlic
1 Piece
Ginger
1” Piece
Tomato
4 Normal Size
Green Chillies Slices
5-8 Piece
Red Chillie Powder
1 Table Spoon
Coriander Powder
½ Tea Spoon
Salt
To Taste
Oil
½ Cup
Garam Masaala Whole
According To Taste
Matti Ki Haandi

Ilaaichi
15


Method

Sab Se Pehle Cooker Main Mote Mote Kate Hue Tamatar , Pyaaz, Lehsan , Adrak Aur Half Cup Paani Daal Kar Pressure Cooker Ko 20 Min Ke Liye Band Kar Dain Aur Ache Se Gala Lain. Jab Ye Cheezain Gall Jayain Toh Pressure Cooker Khol Kar In Ko Bohot Achi Tarha Halki Aanch Par Bhoon Lain.Sath Hi Oil Bhi Daal Dain. Itna Bhoonain Ke In Cheezoun Ka Kacha Pan Aur Smell Khatam Ho Jaye. Phir Is Main Chicken Daal Kar Isko Bhi Halki Aanch Par Bhoonain.Sath Hi , Choti Ilaaichi, Garam Masaala Saabat(Kaali Mirch, Daar Cheeni, Jaawitri, Jaaifal, Kaala Zeera, Bari Ilaaichi, Long) Daal Dain Aur Chicken Ko Bhi Itna Paka Lain Halki Aanch Par Ke Chicken Gall Bhi Jaye.Aur Galne Ke Baad Bhunn Bhi Jaye. Matlab Oil Alag Ho Jaye. Aur Chicken Khasta Aur Daikhne Main Pakka Hua Lagne Lage.

Yaad Rahe Chicken Haandi Main Sab Se Important Kaam Is Ko Bhoon-Na Hai. Aur Halki Aanch Par Isliye Acha Bhoone Ga Kion Ke Is Main Oil Bohot Kam Hai.

Ab Yougurt Main Red Chilli Powder, Salt Aur Coriander Powder Mix Kar Ke Chicken Main Daal Dain Aur Isko Bhi Achi Tarha Bhoon Lain. Itni Dair Chicken Bhoon-Ne Se Chicken Achi Tarha Gall Bhi Jaye Ga. Aur Masaale Bhi Apna Colour De Dainge. Phir Flame Off Kar Ke Is Main Cream Mix Kar Lain . Doosri Taraf Handi Ko Garam Kar Ke Is Main Ye Chicken Daal Dain Oopar Se Hari Mirch Daal Kar Aur Makhan Daal Kar Handi Ko Cover Kar Dain. Jab Serve Karna Ho Toh Achi Tarha Mix Kar Ke Serve Karain.

Behtreen Haandi Taiyaar Hai. Roghni Naan Ke Sath Nosh Farmaaiye.