Kofte Recipe

Step-1
1 Big Onion/Pyaz
2 Tb Sp Ginger Garlic/Lehsan Adrak Paste
12 Green Chili/Sabz Mirch
1/2 CupCoriander Leaves/Hara Dhanya 1
2 Tb Sp Mint Leaves/ Podina

Chopp all these ingredients/ in ajzaa ko chopp kar lain.
Step-2
1 tea Sp Cumin Seed/Safaid Zeera
1/2 Tea Sp Fennel Seeds/Sounf
1 Tea Sp Khus Khus/ Khashkhaas
2 Tea Sp Roasted Chickpeas/Bhune Chane
12 Corn Pepoer/Surkh Gol Lal Mirch

Roast them all in a pan and crush in Grinder/Tamam cheezo ko tawe pe bhoon lain aur Grinder main bareek koot lain.
Step-3
2 Tb Sp Rice Flour Paste mix in water/Chawal ka aata (2 tb sp water+2 tb sp Rice Flour= Paste) inka paste bana lain.
1 Tea Sp Hot Spices Powder/Garam Masala Powder
1 Tea Sp Red Chili/Surkh Mirch Powder
1 Tb Sp Salt/ Namak
Step -4
1 Kg Beef/Mutton Mince/Gaaye Ya Bakre ka gosht
Step-2 Ingredients
Step-3 Ingredients

Blend them all in a blender and Dish out for further process/ In tamaam cheezon ko blender main daal kar mix karain. Aur ek bartan main nikaal lain mazeed cheezain daalne ke liye.

Step-5
Now mix well these stuff with the help of hands/In ajzaa ko hathoun se ache se mix karain.
Step-4
&
Step-1
Bohot ache se mix kar ke inke kofte bana lain. Sath sath hathoun ko pani ya oil se tar karte rahain.
Make balls of this mixture with hands.

Curry Ingredients
2 tb Sp Paste of fried Onion/Tali hui pyaz
1 Medium Onion slices
2 Tb Sp Ginger Garlic Paste/Lehsan Adrak Paste
1 Mini Tomato/Chota sa ek Tamatar

Mix all the ingredients.

Step-6 Aakhri Step
Ek degchi main dairh cup teil garam kar ke us main 2 tez patta daalain sath hi curry ingredients wala mixture daal dain. Isko itna bhoonain ke oil bahar aa jaye. Phir is main kofte daal kar halki aanch pe dhak ke paka lain. Bhunn jaye toh aadha cup dahi phait ke aur 2 Cup pani dal kar dum pe 20 min halki aanch pe paka lain. Phir nan ya chapati ke sath serve karain.

Note:
If you need to freez balls then fry them in half cup oil and freez them. It will keep balls soft.
Agar apko kofte bana k freez karne hain toh inko aadhe cup teil main fry kar ke freez karain. Aise kofte naram rahainge.