A Real Recepie For Breakfast With Halwa Poori


Ingredients
Safaid Chane Bheege Hue
Half Kg
Daal Malka
1/4th Cup
Salt
To Taste
Kalonji
1/4th Tea Spoon


Chane Desi Houn Is Dish Ke Liye Ye Zaroori Hai.Warna Sahi Taste Nahi Aaye Ga. Desi Chana Matlab Bohot Chota Wala Chana.Is Ko Pakaane Se Pehle Taqreeban 8 Hrs Ke Liye Bhigo Dain.Uske Baad.
Tamaam Cheezoun Ko Aik Degchi Main Daal Kar Pakne Ke Liye Rakh Dain. Ubaal Aane Par Aanch Halki Kar Dain. Aur Raat Bhar Pakne Dain. Jaldi Pakaana Hai Toh Pressure Cooker Main For Half Hour Paka Lain. Itna Paka Lain Ke Chane Achi Tarha Gall Jayain Aur Daal Is Main Paste Ki Tarha Ghull Jaye.Phir Flame Off Kar Dain .

In Chanoun Main Sab Se Special Cheez Is Ke Spices Hain. Jo Ke Perfect Aur Recepie Main Shamil Laazmi Hone Chaahiye.

Spices
Crushed Safaid Zeera
½ Tea Spoon
Crushed Red Chilli
½ Tea Spoon
Crushed Methi Daana
A Pinch
Crushed Sonf
A Pinch
Crushed Kalonji
A Pinch
Ajwaaien
¼ Tea Spoon
Salt (If Required More)
To Taste
Garam Masala Powder
1/4th Tea Spoon
Haldi Powder
1/4th Tea Spoon
Red Chilli Powder
1/4th Tea Spoon


Ye Tamaam Masaale Ikhate Hi Tawe Pe Bhoon Lain Aur Crush Kar Lain.Aur Chanoun Main Mix Kar Ke Chanoun Ko Halki Aanch Par Dam Par Pakne Ke Liye Rakh Dain. So That Tamaam Spices Ka Taste Is Main Rach Jaye.

Tarka Ingredients
Onion Thori Moti Kati Hoi
Half Cup
Tamatar Small Cube Cut
1/4th Cup
Green Chillies Chopped
½ Tea Spoon
Achaar
2 Tea Spoon
Oil
1 Cup


Frying Pan Main Oil Ko Ache Se Garam Kar Ke.Is Main Tarke Ki Tamaam Cheezain Daal Kar Aik Min Ke Liye Paka Lain. Aur Phir Is Tarke Ko Safaid Chanoun Pe Daal Kar Tarka Laga Lain.Aur Ache Se Mix Kar Lain.
Professional Cheekar Chola Taiyaar Hai.

NOTE: Agar Ap Is Chole Main Haddiyoun Ki Yakhni Shamil Karna Chaahain To Inhence Taste..Toh Ap Kar Sakte Hain Tarka Lagaane Se Pehle.